Maaroof actor Humayun Saeed ne aik podcast mein apne rohani safar par baat karte hue bataya ke pichle kuch saal se namaz ki pabandi ne unhein dil ka sukoon diya hai. Unhon ne kaha ke is se un mein sabr paida hua hai aur dunya ki jaldbazi khatam ho gayi hai.