Popular actor Muneeb Butt ne apni kamyabi aur rizq mein barkat ka raaz khol diya. Unhon ne bataya ke un ki pehli kamayi sirf 2,000 rupay thi, jo un ke taya ne parindon ke liye sadqa karwa di thi. Muneeb ka manna hai ke un masoom parindon ki duaon ne hi unhein aaj is muqam tak pohanchaya hai.