Youtuber Rajab Butt ne bataya ke unhein apni zindagi mein kabhi kisi larki se mohabbat nahi hui. Unke mutabiq mohabbat ka junoon aksar university life mein hota hai, par unhone kabhi university ka rukh nahi kiya kyunke unhon ne 17 saal ki umar mein hi kaam karna shuru kar diya tha.