Pakistan ke Mashhoor shayar aur philosopher Jaun Elia ka aaj 94waan yom e pedaish manaya ja raha hai. Munfarid soch our shayri ki wajah se woh aaj bhi har umar ke logon mein maqbool hain or behad pasand kiye jate hain. Jaun Elia 1931 mein paida hue aur 2002 mein Karachi mein inteqal kar gaye.