Maryam Nawaz ne adakara Momina Iqbal aur PML-N MPA Saqib Chaddar ke muamlay par apna qanooni muqaf bayan kiya hai. Unhon ne X (Twitter) par likha ke yeh aik zati mamla hai jisay qanoon ke mutabiq hal kiya jaye ga. Unhon ne wazeh kiya ke khwateen ko harass karne yea dhamkane wale kisi bhi shakhs ko maaf nahi kiya jaye ga.