Maaroof actor Ahsan Khan ne drama ‘Aap Ki Izzat’ ke ikhtitam ke baad shadi mein doosray mauqay par baat ki hai. Unka kehna hai ke shadi behad ahem rishta hai, agar mohabbat mojood ho toh apne sathi ko doosra mauqa zaroor dena chahiye, lekin kisi dabao ya zabardasti ke tehat hargiz nahi.