Drama ‘Meri Zindagi Hai Tu’ apnay ikhtitaam ke qareeb hai, magar viewers happy ending ke khilaaf hain. Fans ka kehna hai ke Kamyar ka kirdaar bohot toxic hai aur Ayra ko usay chor dena chahiye. Log social media par gussay ka izhaar kar rahe hain ke aisay mard ko mafi nahi milni chahiye aur kahani ka anjaam bura hona chahiye.