Pakistani adakar Khushhal Khan ne apne aane walay projects ke baray mein batate hue kaha hai ke woh kuch naye scripts parh rahe hain aur waqt aane par fans ko surprise denge. Unhon ne mazeed kaha ke unki niyat saaf hai isliye unhe yaqeen hai ke woh zindagi mein kabhi nakaam nahi honge.