Nadia Afgan ne inkishaf kiya hai ke unke waalid ne shadi se pehle hi keh diya tha ke ye rishta nahi chalega. Unhon ne Nadia ko faisla badalne ka mauqa diya magar shadi ke 6 mah baad hi Nadia ko ehsas hua ke unke waalid sahi thay. Bilakhir waalid ki himmat aur sath ki wajah se unhon ne ye takleef-deh rishta khatam kiya.