Hiba Bukhari ne UK ke aik event mein apne saadgi bhare look par hone wali trolling ka jawab de diya hai. Unhon ne bataya ke unhein aik desi khandaan ne apni dukan ki iftitahi taqreeb ke liye bulaya tha, isliye unhon ne jaan boojh kar saada libas pehna taake wo un logon ka hissa lag saken.