Maroof actress Mehwish Hayat ne TV par apni wapsi ki khush khabri de di hai. Instagram par aik fan ke drama dekhne ki khwahish par adakaara ne jawab diya ke ARY Digital par unka naya drama jald hi on-air hone wala hai, jis se un ke fans me kafi khushi ki lehar daud gayi hai.