Karan Johar ne ek interview mein bataya ke bachpan mein unhein apni “ladkiyon jaisi chaal-dhaal” ki wajah se tanqeed ka samna karna padta tha. Unke speech coach ne unhein mashwara diya ke aisi adaayen future mein mushkilaat paida kar sakti hain. Karan ne teen saal tak coach aur unki wife se training li aur mardon ki tarah chalna, bolna seekha.