Khalil-ur-Rehman Qamar ne aik baar phir khawateen ke baray mein mutanaza bayan detay hue ghar tootnay ka zimma-dar unhein qarar diya hai. Aik khatoon sahafi se guftagu karte hue unhon ne kaha ke mard chahay jitni koshish kar le ghar nahi tor sakta, ghar aur khandan ko sirf aurat hi tabah karti hai.