Maroof adakar Imran Abbas ne TV dramon se kinara kashi ikhtiyar karne ka elan kar diya hai. Aik morning show mein live call par unhon ne bataya ke woh ab Islamabad mein apne construction business aur falahi kamon par tawajja de rahe hain kyunke woh wohi kaam karna chahte hain jo aakhirat mein faida de.