Pakistani dramo mein kam kar ke shoharat pane wale Adakaar Nameer Khan ne inkishaf kiya hai ke wo adakari ke sath-sath aik software engineer bhi hain. Tabish Hashmi ke show mein unhon ne bataya ke unhon ne 1 saal Pakistan mein aur 3 saal Canada mein Quality Assurance ke tor par kaam kiya hai.