Nimra ne apni zindagi ka dardnaak pehlu share karte hue bataya ke pedaish par unhe reject kar diya gaya kyunke woh chauthi beti theen. unhone kaha ke 9 saal ki umar mein unke baal larkon ki tarah kaat diye aur unhe “Ali Bhai” bulaya jata tha. Doctors ne ghar walon ko warn kiya kay ye sab unki mental health kay liye sahi nahi.