Superstar Humayun Saeed ne Atiqa Odho aur Nadia Khan ko apni “bari behnon” jaisa qarar de diya hai. Humayun ka kehna hai ke jab wo bachay thay to Atiqa Odho pehle se star thin. Unhon ne dono adakaraon ke liye makhsoos ehtiram ka izhaar karte hue kaha ke ye sab unke liye behnon ki tarhan hain.