Adakaar Asad Siddiqui ne maa ki mamta aur unki qurbaniyon par dil jeet lene wali baat ki hai. Unka kehna hai ke bacha paida hone ke baad maa ki apni zindagi khatam ho jati hai aur wo mukammal taur par apne bachay ki ho jati hai. Asad ke is bayaan ko social media par bohat appreciate kia ja raha hai.