Adakara aur content creator Romaisa Khan ne drama ‘Dar-e-Nijat’ mein apne kirdar Hamna par hone wali tanqeed par apna moqaf pesh kiya hai. Romaisa ne bataya ke log is kirdar se nafrat kar rahe hain lekin unhe Hamna ka kirdar behad pasand hai aur woh isay ada karke khush hain.