Pakistan ki young and popular actress Laiba Khan ne apni shadi ke hawale se ahem tafseelat share kar di hain. Unhon ne bataya ke unka nikkah 2024 mein Madinah Munawwarah mein hua. Shohar Jawad pharmacy business se wabasta hain. Dono 2022 se aik doosray ko jaantay thay aur rishta private rakha gaya.