Drama Muamma apne 25th episode ke baad social media par chaaya hua hai. Fans Shahzad Sheikh ke kirdar ‘Shahjahan’ ki mardangi aur Jiji (Saba Qamar) ko diye gaye ‘shut-up call’ ki tareef kar rahe hain. Shahjahan ki mazboot shaksiyat aur dakati scene mein uski hoshiyari ne viewers ko mutasir kiya hai, jis se drame ki popularity mazeed barh gayi hai.