Pakistani actress Madiha Imam ne India mein kaam karne par apni raye ka izhar kiya hai. Unhon ne kaha ke artists ko duniya bhar mein kaam karna chahiye lekin yeh ek sensitive issue hai jahan soch samajh kar faisla zaroori hota hai. Unka kehna tha ke creativity ki koi sarhad nahi honi chahiye.