Alizeh Sultan ne sawal uthaya ke kya bachon ki parwarish aur taleem ki zimmedari sirf maa ki hai? Unhone kaha ke divorce ke baad bhi walid ka kaam sirf financial support nahi, balke parenting mein barabar ka active role lena hai. Alizeh ne samaj par tanqeed karte hua kaha ke sab kuch maa ke kandhon par dalna ghalat hai.