Mashhoor TikToker Jannat Mirza ne apni mangni ki afwahon par khamoshi tod di hai. Fans ke sawal par unhon ne wazahat ki ke jab bhi unki zindagi mein mangni ya nikah jaisa koi bara faisla hoga, wo khud sab ko bataingi. Unka kehna hai ke aisi khabrein wo hamesha official taur par khud share karna pasand karengi.