Mashhoor Pakistani adakara Kinza Hashmi ne Instagram par 10 million (1 crore) followers mukammal hone par khushi ka izhaar kiya hai. Unhon ne fans ke liye aik shukriya note likha ke unka pyar hamesha unke saath raha hai. Kinza ne is azeem kamyabi par apne chahne walon ka tah-e-dil se shukriya ada kiya.