Senior adakaara Atiqa Odho ne Sajal Aly aur Kinza Hashmi ki adakaari ko khub saraha hai. Show Kya Drama Hai mein baat karte hue unhon ne kaha ke donon adakaaraon ki ankhon mein aik jadu hai jo har jazbaat ko khubsoorati se bayan karta hai. Atiqa ne Kinza ko apni pasandida adakaaraon mein se aik qarar diya hai.