Pakistani actress Zara Noor Abbas ne khwateen ko aik doosray ke khilaaf khara karne aur catcalling ko normalise karne ki saqafat par shadeed narazgi ka izhaar kiya hai. Unhon ne tanz karte hue kaha ke log unke naam par views aur paise kama kar apne bills ada kar rahe hain.