Senior adakara Hina Bayat ne morning show mein shohar par munhasir biwiyon aur izdawaji bewafai par khul kar baat ki hai. Unhon ne kaha ke khawateen sirf shohar ke waqt ka intezar karne ki bajaye khud ko masroof aur productive rakhein, jabke extramarital affairs ko sab se bara dhoka aur na-qabil-e-qabool qarar diya.