Bollywood ke famous film-maker Karan Johar ne Instagram par tamam Indian actors ko unfollow kar diya hai, lekin woh ab bhi kuch Pakistani sitaron ko follow kar rahe hain. Un ki following list mein Fawad Khan, Mahira Khan, Imran Abbas aur Ali Zafar jaise bade Pakistani naam shamil hain.