Mahira Khan ne kaha ke Karachi eik maa ki tarha hai jo apni baahein phaila kar sab ko welcome karta hai. Unhone bataya ke woh yahin paida hoin, yahin badi hoin, is liye Karachi se unka jazbati lagao gehra hai. Mahira ne kaha ke log is shehar se bohot kuch le jaate hain, phir bhi Karachi maa ki tarah maaf kardeta hai.