Maaroof adakara Hina Altaf ne Karachi mein khawateen ki hifazat aur aazadi par baat karte hue sakht gham aur gusse ka izhar kiya hai. Unka kehna hai ke shehar ke halaat aisay ho chukay hain jahan larkiyon ke liye sarkon par chalna mushkil ho gaya hai aur har waqt khoaf ka mahol rehta hai.