Sana Askari ne bataya ke unke shohar Minhaj Askari ko horror content ka itna shauq hai ke unhon ne ghar mein hi studio bana liya hai. Sana ke mutabiq, horror kahaniyan record karne ki wajah se ghar ka mahool “Djinn-friendly” ho gaya hai. Unhon ne bataya ke unhein ghar mein ajeeb awaazein sunayi deti hain, jis se woh kafi dar jati hain.