Senior adakara Saba Faisal ne zindagi ki haqeeqat par baat karte hue aik gehra paigham share kiya hai. Unka kehna hai ke kabhi kabhi insaan apni ghaltiyon ke bajaye apni ki hui achhaiyon ki saza kaat-ta hai. Unka yeh bayan social media par fans ki tawajjah ka markaz bana hua hai.