Adakara Sahar Hashmi ne aik gehra aur philosophic paigham share kiya hai ke “Jinhon ne mor ko saanp khatay dekha ho, woh khoobsurti par yaqeen nahi rakhtay”. Unka yeh paigham zindagi ki talkhiyon aur zahiri khoobsurti ke peechay chhupi haqeeqat ko bayan karta hai, jise fans ki janib se behad pasand kiya ja raha hai.