Adakara Naeema Butt ne bataya ke jab ‘Kabhi Main Kabhi Tum’ mein unka kirdaar Rubab mashhoor hone laga, to unhen support milne ke bajaye sideline kar diya gaya. Naeema ke mutabiq unhen umeed thi ke producers aur co-stars unka sath denge, magar unke sath bura rawayya ikhtiyar kiya gaya.