Adakara Durefishan Saleem ne drama ‘Dar-e-Nijaat’ mein apne mutanaza kirdar Zaryab ke peechay ki soch par khul kar baat ki hai. Unhon ne kaha ke yeh kahani Zaryab ke faislon ka difa karne ki bajaye is insani haqeeqat ko dikhati hai ke jab aik aurat apne mehboob ke hathon toot jati hai toh kya hota hai.