Zahid Ahmed ne bataya ke drama ‘Ishq Zah-e-Naseeb’ mein ‘Sameer’ ka kirdar nibhane ke baad unka bacchon ki parvarish ka tarika badal gaya hai. Unhon ne seekha ke sakhti aur daant-dapat se bacche ki shaksiyat toot sakti hai. Zahid ab apne do beton ki parvarish mein unki izzat-e-nafs aur jazbaati sehat ka boht khayal rakhte hain taake unka aitmaad bana rahe.