Iqra Aziz aur Yasir Hussain ke ghar doosray bachay ki paidaish hui hai. Actress ne Instagram par reel share kar ke apni beti ka naam bataya. Card ke mutabiq 24 January 2026 ko beti “Sofia Hussain” paida hui. Iqra ne Allah ka shukar ada kiya. Reel social media par tezi se viral ho rahi hai.