Bollywood film Dhurandhar ke actor Nadeem Khan ko police ne arrest kar liya hai. Actor par ilzaam hai ke unhon ne ghar ki mulazima ko shaadi ka jhoota wada karke 10 saal tak jinsi zayadti ka nishana banaya. Mutasira khatoon ne Versova police mein complaint darj karwai, case Malwani police ko transfer kar diya gaya. Tafteesh jaari hai.