Actor Imran Khan ne Vishal Bhardwaj par lagaye gaye ilzamaat par qaim rehne ka elan kar diya. Unhon ne kaha ke woh backlash ke darr se apni sachai bolne se peeche nahi hatenge. Imran ka kehna hai ke industry mein sab scripted baatein karte hain, jabke woh apna tajurba share kar rahe hain.