Saba Faisal ko Iftar party mein dupatta na leny par social media par sakht tanqeed ka samna. Saba Faisal ne Lahore mein apny ghar walon aur doston ke liye aik bari Iftar dawat rakhi thi, jis ki video unhon ne Instagram par share ki. Fans ka kehna hai ke Ramzan ke muqaddas maheenay mein unhein munasib tareeqay se dupatta lena chahiye tha.