Bilal Abbas Khan ne Hajj ki saadat hasil ki, jahan unhon ne apni privacy ko barkarar rakha aur khud koi tasveer ya video share nahi ki. Magar Masjid-un-Nabawi mein ibadat ke doran aik fan ne un ki video bana kar internet par viral kar di. Is baat par fans bohot gussa hain aur adakar ki privacy ka ehteram karne ko kaha.