Maaroof adakara Komal Aziz ne drama industry se hamesha ke liye mukammal taur par alag hone ka elan kar diya hai. Unhon ne wazahat ki ke unhon ne apna akhri drama ‘Mohlat’ 2021 mein shoot kiya tha, aur ab woh apna business chalane aur independent hone par tawajjah de rahi hain.