Joyland’ ke director Saim Sadiq ne Humayun Saeed ke “bari behnon” walay bayan par shadeed tanqeed ki. Saim ne kaha ke Humayun, Atiqa Odho se sirf 4 saal chote hain, phir wo bacha kyun ban rahe hain? Unhon ne sawal uthaya ke agar 22 saal choti heroine Sajal Aly unke sath kaam kar sakti hai, to kya usey Humayun ko “Nana Jan” kehna chahiye?