Omer Shahzad aur unki wife ne Umrah video par honay wali tanqeed ko mustarad kar diya hai. Masjid-al-Haram ke clips viral honay par sarifeen ne “PDA” par gussay ka izhaar kiya, jis par jori ne jawab diya ke “Hum miyan-biwi hain aur kuch ghalat nahi kiya.” Unhon ne logon ko doosron par tanqeed ke bajaye apni fikr karne ka mashwara diya.