Umair Jaswal ne maa ki mohabbat aur qurbanion par baat karte hue paigham share kiya hai. Unka kehna hai ke hum apni zindagi mein chahe jitna bhi kama lein, hum apni maa ke piyaar, duaoon aur unke sadqay ka karz kabhi nahi utaar sakte. Umair ke is jazbati bayaan ne social media par fans ke dilon ko chhoo liya hai.