Mashhoor morning show host Nida Yasir ne bachon ki tarbiyat par ahem baat karte hue kaha hai ke hum betiyon ko toh har zimma-dari sikhate hain magar beton ki sahih tarbiyat karna bhool jatay hain. Unhon ne zor diya ke beton ko bhi bachpan se ikhlaqiyat aur zimma-dari sikhana behad zaroori hai.