Maroof adakaara Hareem Farooq ki share karda nayi tasaveer par social media par cosmetic surgery ki behas chhir gayi. Safaid libas aur naye haircut me unki tasaveer dekh kar fans ne unki naak aur labon me numaya tabdeeli ka da’wa kiya. Sarfeen unke is naye roop par tarah tarah ke tabsarey kar rahe hain.