Maroof adakaara Hania Aamir ne apna naya drama serial Fanaa sign kar liya hai, jis me un ke sath Nameer Khan markazi kirdar ada karenge. Badar Mehmood ki hidayat kaari me banne wala yeh drama Geo Entertainment par nashar hoga. Fans is nayi jori aur zabardast cast ko screen par dekhne ke liye bohat pur-josh hain.