Kanwar Arsalan ne inkishaf kiya hai ke Yasir Nawaz ke sath unka business “Forest” dono ke mukhtalif nazriyat ki wajah se band hua. Unhon ne bataya ke timing aur kaam ke tareeqay par dono ke darmiyan ikhtelafaat thay, magar unka jhagra financial nahi tha. Dono ab bhi acche dost hain aur ba-izzat tareeqay se alag hue.